Friday, January 8, 2016

Danto Ke Dard Se Chhutkara


Danto ka Dard   (दांतो  का  दर्द)

Dant hamari body ka ek bahut hi important part hai. Dant mai dard hone par hum kuch bhi kha nahi pate. Danto ka dard koi bhi thandi garm chez khane se kisi bhi waqat shuru ho skta hai Aur danto ka seedha connection head ke saath hota hai..
Danto me dard hona means headache start ho jaana. Isse aap bahut jyada pareshan ho jate hai aur chid-chidapan bhi mahsoos karne lagte hai.

Danto ka nata na sirf chehre ki khubsoorti se hi nahi balki iske bina jindagi bhi mushkil ho jati hai. Hum me se adhikansh log daanto ki saaf-safai ko gambhirta se nahi lete hai, jiske karan danto me sadan paida hoti hai, badboo aati hai or dant dard karte hai…
Agar aap ke bhi danto me dard hota hai to sayd ye post aapke kam ki ho

 

Kali mirch-  Kali mirch ko pees kuch boond pani (Water)  ki mila kr paste bna  len or is paste ko dard wali jaga par lga len.is say ap k dant (Teeth) ka dard khtm ho jaye ga.


Hing- Jab bhi dant dard ke gharelu upchar ki baat aati hai, Hing ka naam sabse pahle aata hai. Kyuki hing se danto ke dard ko instant aaram milta hai.. Thodi si hing le, usko mosambi ke ras me milaye aur fir cotton me lekar uss cotton ko dard karne wale dant par rakh dijiye, isse aapko dard se turant rahat milegi.



Laung-  Danto ke dard me Laung se badkar sayad hi kuch or ho. Laung mai aushdhiya gun hote hai, jo bacteria aur dusre germs ko remove karte hai, jisse danto ka dard band ho jaata hai. Laung ko dard karne wale daant ke paas rakhiye. Lekin is prakriya mai thoda time lagta hai, to aapko thoda patience rakhna padega.

 


Pyaj (Onion)-  Pyaj danto ke dard ke liye best solution hai. Jo log khane ke saath roz kaccha onion khate hai unhe danto ki takleef bahut kam hoti hai. Onion mai kuch aise aushdiya gun hote hai jo mouth ke germs, bacteria aur jeevanu ko khatm  kar dete hai.

 


Lahsun- Lahsun bhi daant dard me bahut relief pahuchahta hai. Lahsun me antibiotic gun hote hai. Jo anek prakar ke bacteria se ladne me saksham hote hai. Lahsun ki 2 kali le aur usko kaccha chabaye. Isse aapko immediate asar milega.

1 comment: